
About Kahanqah-e-Ismailiya
Sarzameen Oudh ka sab se bara markaz Qadriyat, Astana Aaliya Ismailiya Masooli Sharif, Zila Barah Banki hai. Is Khanqah ke Sadaat nasaban Zaidi Syed hain, yani Hazrat Imam Zayd Shaheed Rizwān Allah Ta’ālā ‘Anhu ki aulaad hain. Hindustan mein is khandaan ke sab se pehle buzurg, jin ki aamad yahan hui, wo Siyaha-e-Bahr-e-Tariqat, Hazrat Sultan-ul-Hind Sultan Shams-ud-Din Al-Tamish ke zamaane mein yahan aaye.
Wasit, Iraq ka mashhoor sheher hai. Qutub-ul-Aqtab ke Khwaja Qutub-ud-Din Bakhtiyar Kaki ke hukm par Sultan Shams-ud-Din ne Lashkar-e-Jarar de kar Hazrat Syed Shah Mir Muhammad Sahab Dawat-ul-Sughra ko 614 Hijri mein Bilgram Sharif ki fatah ke liye bheja. Aap ne Bilgram fatah kar ke wahiin sukoonat ikhtiyar kar li.