Syed Aali Nasab Sarkar Masooli Razi Allahu Ta’ala Anhu ki ibtidayi taleem Bilgram Shareef mein hui. A’ala taleem ke husool ke liye Ustaaz-ul-Muhaqqiqeen Hazrat Allama Syed Shah Mir Muhammad Tufail Utrulwi thumma Bilgrami Alayh ke halqah-e-dars mein shaamil ho kar baltarteeb darsi kitaabon ki takmeel farmayi. Tafseer, Hadith, Usool-e-Hadith, Fiqh, Usool-e-Fiqh, Seerat, Lughat, Fanoon-e-Adab, Ma’qulaat, Manqoolaat ki saari maroojah shaakhon par dastaras haasil karne ke baad aap par Khuda talabī ka jazba shauq haavi ho gaya aur husn-e-azal ki tajalliyon se aashnaai ka wilwala paida ho gaya, jis ke husool ke liye aap qudwa-urbaab-e-tareeqat, uswah-ehbaab-e-haqiqat, malaaz-e-fuhool-ulamaaye-zaman, maaz-e-kamaalaaye-dooraan, qutb-e-zamaani, fakhr-e-silsila Hazrat Mahboob Subhaani Hazrat Makhdoom Syed Shah Abdul Razzaq Mahboob-e-be-kamar Qadri Bansawi Razi Allahu Ta’ala Anhu ki khidmat mein baghraz-e-bay’at Bansah Shareef haazir hue.
Hazrat Allama Mir Ghulam Ali Azad Bilgrami Alayh-ur-Rahma Taa’ssuraat-ul-Kiraam mein tahreer farmate hain:
Syed Mir Muhammad Ismail Wasiti muqtada-e-inam aur khaas o aam ke marja the. Ibtida-e-haal mein zahiri uloom aur rasmi fazaail ki tahseel mein mashghool hue. Darsi kitaabein tarteeb war parhein. Kuch kitaabein Ustaaz-ut-Tafaqeen Mir Tufail Muhammad Bilgrami ki khidmat mein aur baaz kitaabein doosri jagah parhein. Is ke baad Khuda talabī ki shorish sar mein sama gayi aur Sheikh Abdul Razzaq Bansawi Quddisa Sirruhu ki khidmat mein pohanch kar inayatoun se masharraf hue. Bay’at ka sharaf haasil kiya aur qareeb bara saal Hazrat Sheikh ke saaye-e-tarbiyat mein riyaazat-e-shaaqah kheenchay. Be-shumar fuyooz haasil kiye aur faqr ki bulandiyon ki inteha par pohanch gaye. Sheikh ke wisal farmaane ke baad sajada-e-khilafat par raunak afroz hue. Hazrat Sheikh ke tamaam khulafaa aur mureedeen aap ko apna muqtada samajhte aur nihayat adab o aqeedat se pesh aate the. (Taa’ssuraat-ul-Kiraam Urdu, Safah 258.)
Sarkar-E-Masauli, © 2025