Hazrat Syed Mir Muhammad Ismail Wasiti Sahib ki Sarkar Bansah se bay’at ka waqi’a ajeeb o ghareeb hai. Sahib-e-Nazm Ahl-e-Aali raqam taraaz hain:
Syed Mir Muhammad Ismail Wasiti Quddisa Sirruhu ba-kamaal awliya-e-kiraam mein se hain, jinke khawaariq-e-‘adaat numayan aur karamatain roshan hain. Ibtida mein apne sage maamoon Hafiz Syed Muhammadi jese Wali Kaamil ki sohbat mein rahe aur unke faqr ki chashni se lutf andoz ho kar, anfa’an-e-shabaab mein hi murshid ki talash mein sargardan rahete. Aakhir kaar Shah Abdul Razzaq Bansawi Quddisa Sirruhu ke feyzan-e-wilayat ka shehra sun kar Bansah haazir hue aur aik arsay tak Sheikh Moosof ki khidmat mein zindagi basar karte rahe.
Ek din Hazrat Sayyidina Shah Abdul Razzaq Quddisa Sirruhu zameen par chadar taan kar, bazahir mahmoostirahat hue. Syed Mir Muhammad Ismail Wasiti Sahib ne aakar khidmat shuru kar di. Hazrat Sayyidina Shah Abdul Razzaq Sahib is waqt azkaar-e-ba’tini mein mashghool the. Chadar sar se sarkayi aur naaraaz ho kar farmaya: “Jao! Na khud kuch karte ho, na doosray ko karne dete ho.” Hazrat Mir Sahib Shah Abdul Razzaq Sahib se bad-dil ho kar uth gaye aur nihayat ranjida ho kar wahan se chalay jane ka irada kar liya. Idhar Shah Abdul Razzaq Sahib ko Ameer-ul-Mu’mineen, Mawla-ul-Muslimeen, Imaam-ul-Awliya, Waris-e-Wilayat Muhammadi Sayyidna Ali Murtaza Karam Allahu Ta’ala Wajhahu-l-Kareem ki khawab mein ziarat hui. Shah Abdul Razzaq niyaaz manda nahazir hue. Hazrat Wilayat Ma’ab ne rukh pher liya. Shah Sahib is jaanib haazir ho gaye to Hazrat Mula-e-Kainaat ne naaraaz lab o lehje mein farmaya: “Mera beta tumhare paas taleem-e-baatin ke liye haazir hua aur tum ne usay daant kar apne paas se bhaga diya aur taleem nahi di. Jao! Usey bay’at karo aur uski taleem-e-baatin mein mashghool ho jao.” Shah Abdul Razzaq is soorat-e-haal se bohot haraasaan hue aur foran larzaan o tarsaal Syed Mir Muhammad Ismail Wasiti Sahib ki talash mein rawana ho gaye.
Idhar Syed Mir Muhammad Ismail Wasiti is be-ittifaaty ki soorat-e-haal se had-dardja ranjida the. Un par khawab ki kaifiyat taari hui to kya dekhte hain ke Hazrat Ameer-ul-Mu’mineen Ali Murtaza Razi Allahu Ta’ala Anhu tashreef laaye aur god mein le kar apni bay’at ke sharaf se sarfaraaz farmaaya aur aasteen-e-mubarak se sheerni ke paanch ladoo nikaal kar ataa kiye.
Syed Mir Muhammad Ismail Wasiti Sahib khawab se bedaar hue to hadd-dardja masroor the aur usi aalam-e-masarrat mein dobaara mehwo khawab ho gaye. Shah Abdul Razzaq Sahib girte padhte Mir Sahib ke paas pohanchay aur qadamoon par gir kar farmaya: “Uthiye! Aap so rahe hain aur meri tamaam umar ki mehnat barbaad ho gayi. Uthiye, bay’at kijiye aur mere saath aaiye.” Mir Sahib aalam-e-khawab mein Hazrat Mula-e-Kainaat se bay’at kar chuke the, is liye Shah Sahib maaliya se bay’at hone mein unhein tamall ho gaya. Shah Sahib ne farmaya: “Main jaanta hoon ke aap ne khawab mein apne judd-e-amjad se bay’at kar li hai magar meri zahiri bay’at bhi zaroori hai.” Phir Hazrat Shah Abdul Razzaq Sahib ne Mir Sahib ko mureed kar liya aur Mula-e-Kainaat ki ataa ki hui sheerni aasteen se nikaal kar Mir Sahib ke haath par rakh di aur farmaya: “Haath aik hai. Kabhi is toor par zaahir hota hai aur kabhi is toor se.” Phir Mir Sahib ko apne saath Bansah le gaye aur bohot hi tawajjo aur shafqat ke saath baatni taleem di, yahaan tak ke is maqam-e-wilayat kubra par pohnchadeya jise maqam-e-kalliyat kehte hain aur apni khilafat se nawaza. Poori zindagi Hazrat Mir Sahib ko sirf Syed Aali Nasab ke laqab se yaad farmaate, kisi aur lafz se nahi. Aakhir kaar Syed Mir Muhammad Ismail Wasiti Sahib ne apne murshid ke watan Bansah se qareeb moza Masauli mein iqamat ikhtiyar kar li. Aksar o bisar apne murshid Shah Abdul Razzaq Sahib ki qadam bosi ke liye Bansah haazir hote the. Shah Abdul Razzaq Sahib pehle hi haazireen ko mutala’a farma dete ke Syed Aali Nasab aa rahe hain. Jis waqt Mir Sahib aap ki khidmat mein haazir hote, aap unki tazeem ke liye sarw-qad khade ho jaate, apne paas jagah dete aur poori tawajjo aur ikraam se pesh aate.
Nizam-ul-Laali Qalmi [Daaira Qadriya Bilgram Shareef Safah 118-120]
Kahte hain ke dono buzurgon ki mulaqat Hazrat Mahmood Shaheed Rahmatullahi Ta’ala Alayh ke mazar-e-paak (qareeb Shahab Pur Zila Bara Banki jo Bahraych Road par waqay hai) ke paas hui
Thi aur usi waqt Hazrat Sarkar Bansah ne Sarkar Masauli ko daakhil silsila farma kar jumla salasel mubarakah ki ijazat aur khilafat ataa farmaayi aur saare awraad o waza’if, azkaar o asghaal, musafahaat aur baatni fuyooz o barakaat ki taleem di. Khirqah mubarakah aur kalaah mubarakah Mula-e-Kainaat Hazrat Ali Karam Allahu Wajhahu ataa farmaayi jo aap ke Sheikh-e-Tariqat Taj-ul-Aarifeen, Badr-ul-Kaamilin Hazrat Syed Shah Mir Abdul Samad Khuda Nama Qadri Ahmad Abadi Gujrati Razi Allahu Ta’ala Anhu ne ataa farmaayi thi.
Sr. No | Name | Muqam | Urs Date |
---|---|---|---|
1 | Sayyid al-Mursaleen Khatam al-Nabiyyin Sayyidna Muhammad Mustafa Sallallahu Alayhi wa Sallam | Madina Munawwara | |
2 | Amir al-Mu'mineen Ali Murtaza Karam Allahu Ta'ala Wajhahu | Najaf Ashraf | 21st of Ramadan, 540 |
3 | Hazrat Khwaja Hasan Basri Qaddas Allahu Sirrah | Basra | 5th of Rajab, |
4 | Hazrat Sheikh Habib Ajami Qaddas Allahu Sirrah | Basra | 9th of Ramadan, 156 AH |
5 | Hazrat Shaykh Dawood Tai Qaddas Allahu Sirrah | Baghdad Shareef | Ramadan, 173 AH |
6 | Hazrat Sheikh Maroof Karkhi Qaddas Allahu Sirrah | Baghdad Shareef | 2nd Muharram, 200 AH |
7 | Hazrat Sheikh Siri Saqti Qaddas Allahu Sirrah | Baghdad Shareef | 13th Ramadan, 253 AH |
8 | Hazrat Syed al-Taifa Junayd Baghdadi Qaddas Allahu Sirrah | Baghdad Shareef | 27th Rajab, 297 AH |
9 | Hazrat Sheikh Abu Bakr Shibli Qaddas Allahu Sirrah | Baghdad Shareef | 27th Dhul-Hijjah, 334 AH |
10 | Hazrat Sheikh Abdul Wahid Tamimi Qaddas Allahu Sirrah | Baghdad Shareef | 26th Jumada al-Akhirah |
11 | Hazrat Sheikh Abu al-Faraj Yusuf Turtushi | Baghdad Shareef | 3rd Sha'ban 447 Hijri |
12 | Hazrat Sheikh Abu al-Hassan Ali Harkari Qudis Sirrah | Mawsel, Karkhiya (Baghdad Shareef) | 1st Muharram 486 AH |
13 | Hazrat Sheikh Abu Sa'id al-Mubarak al-Makhzumi Qudis Sirrah | Baghdad Shareef | 7th Sha'ban 513 AH |
14 | Sarkar Ghous Azam Syed Sheikh Muhyiddin Abu Muhammad Abdul Qadir Jilani (رضی اللہ تعالی عنہ) | Baghdad Shareef | 6th Shawwal |
15 | Hazrat Syed Muhammad bin Abu Saleh Qadri | Baghdad Shareef | 27th Rajab, 632 AH |
16 | Hazrat Syed Ahmad Qadri | Kalpi Shareef | 19th Safar, 688 AH |
17 | Hazrat Syed Ali Qadri | Baghdad Shareef | 23rd Shawwal, 739 AH |
18 | Hazrat Sheikh Musa Qadri | Baghdad Shareef | 13th Rajab, 762 AH |
19 | Hazrat Syed Shah Hasan Qadri | Baghdad Shareef | 26th Safar, 781 AH |
20 | Hazrat Sheikh Abu Al-Abbas Ahmad Qadri | Baghdad Shareef | 19th Muharram, 853 AH |
21 | Hazrat Sheikh Baha'uddin | Baghdad Shareef | 1st Dhul-Hijjah, 921 AH |
22 | Hazrat Syed Muhammad Qadri | 20th Rajab, 825 AH | |
23 | Hazrat Sheikh Jalaluddin Qadri | Deoband | 7th Sha'ban, 889 AH |
24 | Hazrat Miran Syed Bakhsh Allah Fariid Bhakkari Qadri | Bhakkar | 15th Ramadan, 895 AH |
25 | Hazrat Sheikh Ibrahim Multani | Multan | 12th Rajab, 900 AH |
26 | Hazrat Sheikh Ibrahim Bhakkari Qadri | Bhakkar, Sindh, | 23rd Dhu al-Hijjah, 998 AH |
27 | Hazrat Sheikh Amanullah Amani Qadri Burhanpuri | Delhi | 2nd Muharram, 919 AH |
28 | Hazrat Sheikh Hussain Khuda Numa Qadri | Burhanpur | 16th Ramadan, 915 AH |
29 | Hazrat Sheikh Hidayatullah Khuda Numa Qadri | Tadhkirah al-Sulaha | 6th Jamadi al-Akhir, 1065 AH |
30 | Hazrat Syed Abdul Samad Khuda Numa Ahmadabadi | Ahmedabad | 11th Rabi' al-Thani, 1109 AH |
31 | Hazrat Syed Abdul Razzaq Qadri | Bansah Sharif | 6th Shawwal, 1136 AH |
32 | Hazrat Syed Mir Muhammad Ismail Wasiti Qadri | Masauli Sharif | 13th Zil-Hijjah, 1164 AH |
Hazrat Syed Aali Nasab Sarkar Masooli Razi Allah Ta’ala Anhu ka silsila-e-Razaqiya Ismailiya Hindustan ki mashhoor o ma’roof khanqahon tak pohancha hai. In mein Khanqah Qadriya Razaqiya Ismailiya Bilgram Sharif, Khanqah Barkatiya Marahra Sharif, Khanqah Raza’iya Bareilly Sharif, Khanqah Qadriya Majidiya Badaun Sharif, Khanqah Warshi Dewah Sharif khas tor se qabil-e-zikr hain. Unki kuch tafseel yeh hai:
Sarkar-E-Masauli, © 2025