headerlogo

about us

Sarkar-e-Masauli

Waris-E-Jubba-E-Maula-E-Qaynat Janashin-E-Sarkar-E-Masauli Farzand-E-Maula Ali Aulad-E-Gause Aazam Ata-E-Raisul Auliya Shazad-E-Noorul Auliya Muhafiz-E-Maslake Aala Hazrat Peer-E-Tariqut Aali Nasab Huzoor Hassaan-E-Millat Hazrat Allama Syed Shah Hassaan Bin Noor Wasti Qadri Razzaqhi Ismaily Zaidiul Hussaini Naib Sajjada Nasheen Asstane E Falak Wa Nazim-E-Aala Al Jamiatul Ismailiya Masauli Shareef Distt. Barabanki UP 225204.

optional subheading

Sadat-E-Masauli

Sarzameen-E-Avadh ka sabse bara Maarkaz-E-Qadriyat, Astana Aaliya Ismailiya Masauli Sharif, Zila Barabanki hai. Is Khaanqah ke Sadaat nasaban Zaidi Syed hain, yani Hazrat Imam Zayd Shaheed Rizwān Allah Ta’ālā ‘Anhu ki aulaad hain. Hindustan mein is khandaan ke sab se pehle buzurg, jin ki aamad yahan hui, Wo Hazrat Sultan-ul-Hind Khwaja-E-khwajgan Sarkar Khwaja Gareeb Nawza Sanjari ke zamaane mein Wasit se yahan aaye. Wasit, Iraq ka mashhoor sheher hai. Qutub-ul-Aqtab khwaja Qutub-ud-Din Bakhtiyar Kaki ke hukm par Sultan Shams-ud-Din Altamsh ne Lashkar-E-Jarar de kar Hazrat Syed Shah Mir Muhammad Sahab Dawat-ul-Sughra ko 614 Hijri mein Bilgram Sharif ki fatah ke liye bheja. Aap ne Bilgram fatah kar ke wahiin sukoonat ikhtiyar kar li. 

Hazrat Syed Shah Mir Muhammad Saheb Dawat-ul-Sughra Fateh-E-Bilgram ka Silsila-E-Nasab 18 wasatoon se Syed-ul-Shuhada Hazrat Imam Hussain Shaheed-E-Karbala se jamilta hai, aur aap ko Qutub-ul-Aqtab Hazrat Qutub-ud-Din Bakhtiyar Kaki ki Oshi se Khilafat aur Niabat ka imtiaz hasil hai. Aap ka wisal 14 Sha’ban, baroz-E-Donshamba, 645 Hijri mein, 81 saal ki umar sharif mein hua. Aap ki aulaad ki chhati pusht mein Siraj-us-Salikeen Hazrat Shah Alaa-ud-Din ki aulaad Pach Bhaiya ke naam se mashhoor hue. Khandan-E-Pach Bhaiya ke afraad, Bilgram Hardoi, Masauli Barabanki aur Marahera Etah mein aabad hain, aur is ki shaakh Madinah Munawwarah mein Ekhwan-E-Khamsah ke naam se mashhoor aur maroof hain, aur is mohallah ka naam bhi Ikhwan-E-Khamsah pad gaya.

B2
Sarkar-e-Masauli

Alqahbat

Sarkar Masauli, Mahboob-e-Bargah-e-Ilahi, Mazhar-e-Mo’jizat-e-Risalat Panahi, Masdar-e-Karamat, Bahr-e-Mawaj-e-Haqaiq Aagahi, Sheikh-ul-Shuyukh, Fard-ul-Afraad, Mashooq-ul-Ashaaq, Mehrem-e-Asrar Qadir Qawi, Waqif-e-Asrar Mutashabihaat-ud-Tanzeel, Aali Nasab.