Murshid

Day With Murshid

Sarkar-e-Masauli

Peer-o-Murshid

Hazrat Syed Shah Abdul Razzaq Mahboob-e-Be-Kamar Qadri Banswi Qudus Sirrah

Sarkar Bansah Mahboob-e-Be-Kamar, Mazhar-e-Wilayat Muhammadi Hazrat Syedna Shah Abdul Razzaq Qadri Qudus Sirrah (d. 1136 AH) apne azman mein daira-e-wilayat ka nuqta par kaar the. Bade bade Shahbaz un tariqat aur shariat mein aap ki nigah-e-jazb aur karamat ke aseer the.

Sarkar Bansah ki wiladat Mahmoodabad mein hui jo Bansah Sharif ke mazafaat mein aik qasbah Rasoolpur hai. Bansah Sharif aap ki nanahal hai, maadri virasat ki nisbat se aap ne Bansah Sharif mein sukoonat ikhtiyar farmaayi. Ibtida mein rozgar pesha rahe lekin dil mein Hassan-e-Azal ka ishtiaq deedar, koraṭein le raha tha. Is jazbay ne mulazmat chhodaayi aur sayahat par aamada kiya. Doran-e-safar Ahmedabad Gujarat mein Syed Shah Abdul Muhammad Khuda Nama Qudus Sirah ki faiz bar sohbath mayassar aayi, phir to ishq ke fizaan ne aisa nawaza ke unhi ke ho kar reh gaye. Fazl-e-Ilahi, barghah-e-Risalat ke karam aur nigah-e-Murshid ki kimya-e-asri ne aisa nawaza ke maqam-e-fardiyat par faiz ho gaye. Rasmi dars ki zahmatain aap ne nahi uthai, lekin Allah Ta’ala ne aap ko ilm-e-ladunni se nawaza tha.

Sukoonat ki ijazat

Sarkar Masauli Razi Allahu Ta’ala Anhu aksar o bisar apne murshid-e-haqq Sarkar Bansah Razi Allahu Ta’ala Anhu ki khidmat-e-aqdas mein haazir rahti the. Aap ne aik martaba wahin par sukoonat ke liye ijazat chaahi to Hazrat Sarkar Bansah Razi Allahu Ta’ala Anhu ne Masauli mein sukoonat ikhtiyar karne ka hukm diya aur farmaya: “Jumma jumma ko aana karna. Roz ka aana jaana muhabbat mein kami lata hai.”

Sarkar e Basah K Adab

Hazrat Sarkar Masauli Syed Aali Nasab Razi Allahu Ta’ala Anhu apne murshid-e-haqq Razi Allahu Ta’ala Anhu se mulaqat ki ghraz se hudood Bansah mein jaise hi qadam rakhte, waise hi Hazrat Sarkar Bansah Razi Allahu Ta’ala Anhu apni jagah par khade ho kar irshaad farmate: 

“Khabar ya khabar dete hai ke Syed Aali Nasab wa A’ala Hasab aawat hai.”

Aur is waqt tak khade rehte jab tak Hazrat Syed Aali Nasab Sarkar Masauli Razi Allahu Ta’ala Anhu wahan pohanch nahi jaate. | Tazkirah Hazrat Syed Sahib Bansawi.