Hazrat Syed Shah Muhammad Ibrahim Sughrawi Wasiti Bilgrami Razi Allahu Ta’ala Anhu ki wiladat ba sa’adat 1034 Hijri mein ba maqam Bilgram Shareef me hui.
Aap Sadaat-e-Bilgram ki Pach Bhaiya Shaakh mein Hazrat Syed Ibrahim ke sahibzade hain.
Hazrat Sarkar-E-Masauli رضي الله تعالى عنه ka Chehra-E-Anwar bilkul gol, misal chand ke daire ke tha, aur dekhne wale ko buqa-e-noor maaloom hota tha. Chashman-E-Mubarak khameeda (zara jhuki hui), surat-e-nahayat haseen maaloom hoti thi aur badarja nihayat khoobiyon se ma’moor, shaan-e-ra’nai mein yakta aur dar-baai mein bemisal thi.
Aankh ki khush-numai ke liye jitne bhi owsaaf hone chahiyein, un tamam sifaat ka majmua aap ke chashman-e-mubarak mein badarja e’tam mojood tha. In zahiri khoobiyon ke ilawa, sharam-o-haya jo mohtaram aur mohtaat aankhon ka jawhar hai, who bhi Sarkar-E-Masauli ki chashman-e-mubarak ka khaas hissa thi.
Naak patli aur khatri bhaut khubsurat,
Peshani hamesha khandaan,
Zulfein siyah aur haseen. Bhari hui, resh-e-mubarak ghani aur dilkash,
Paaye-mubarak motawassit, kharay aur saaf shafaf.
Na’layn shareef ke paaye aqdas se juda hone par kabhi ghubaar na dekha gaya,
Saaf safed farsh par bhi nishan-e-qadam na padta.
Qad ziba mianah tha, libaas-e-mubarak hamesha saaf suthra aur saada hota.
Aksar o beshtar safed angarkha aur dheela paijama zaib-e-tan farmaaya karte the.
Sar-e-mubarak par chahartar ki kalah (char konon wali topi) hoti.
Imamat ke waqt sar-e-aqdas par imaama shareef saja hota tha.
Aap ke jism-e-aqdas se aisi khushgawar nekat aur khushboo aati thi ke ahl-e-iradaat ke ilawa ghair mureedeen hazraat bhi jab khidmat-e-ba-barakat mein haazir hote, toh who bhi is rooh parwar aur jaan nawaz khushboo se mazhuz ho jaate the aur aap ki shaan-e-mehboobiyat ka iqraar karte the.
Sarkar-E-Masauli, © 2025